JN.1 Variant: Bharat Mein 21 Cases, Doctors Alert, Awam Ko Di Gayi Savdhani

Photo of author

By Umesh Sharma

World Health Organization Dhwara JN.1 Ko ‘Variant of Interest’ Ghoshit, Safdarjung Hospital Ke Doctors Ne Di Awam Ko Salaah”Bharat mein JN.1 coronavirus subvariant ke 21 cases samne aaye hain, jo desh bhar mein Goa, Kerala, aur Maharashtra mein paye gaye hain. Is naye variant ko World Health Organization (WHO) ne ‘variant of interest’ ghoshit kiya hai. NITI Aayog ke sadasya Dr. V K Paul ne bataya ki is naye variant ka pata lagane ke liye Bharat mein genome sequencing ka kaam chal raha hai.

JN.1 Variant: Bharat Mein 21 Cases, Doctors Alert, Awam Ko Di Gayi Savdhani

Variant of Interest’ Ghoshit, Safdarjung Hospital Ke Doctors Ne Di Awam Ko Salaah

JN.1 (BA.2.86.1.1) variant 2023 ke antim mahine mein prakat hua tha, aur ye SARS-CoV-2 ke BA.2.86 lineage ka uttaradhikari hai. BA.2.86 lineage ko August 2023 mein pehchana gaya tha, jo ki Omicron XBB lineages se bhinn hai. Is lineage mein spike (5) protein mein 30 se adhik parivartan paye gaye hain, jisse iski immune evasion ki potential badh gayi hai.

Safdarjung Hospital ke Doctors ne is naye variant ke bare mein awam ko suchit kar diya hai. Dr. Rohit Kumar, jo ki Pulmonary Medicine ke head hain, ne kaha, “COVID ek RNA virus hai jo samay samay par apna roop badalta hai, aur ab ek naya variant saamne aaya hai, jise JN.1 naam diya gaya hai. Lekin Delhi mein ab tak isse jude koi bhi case nahi aaya hai.”

Doctors ne logo ko chetawani di hai, lekin unhone ye bhi kaha hai ki isse ghabrane ki zarurat nahi hai. Safdarjung Hospital ke Dr. Kumar ne kaha, “Hum corona ke cases par nazar rakh rahe hain. Rogiyo ka test bhi ho raha hai, aur jo bhi positive aarahe hain, unka genome sequencing bhi kiya ja raha hai. Takki naye variants ko pehchaan sakein, lekin ab tak Delhi mein koi bhi naya variant ka case nahi aaya hai.”

Is mahol mein Dr. Kumar ne rogiyo ko kisi bhi lakshan ko ignore na karne ki salaah di hai. Unhone kaha, “Agar kisi ko gala kharab, khaansi, sardi, chest mein dard ya saans lene mein mushkil ho, to turant doctor se milen. Khaas karke jo log pehle se hi respiratory diseases ya asthma ke rogi hain, unhe khaas dhyan rakhna chahiye.”

Dr. Kumar ne mahatvaakankshi roop se bataya ki is mausam mein serious bimariyon se pidit vyaktiyan aur jo log Covid ke karan mar rahe hain, unme se adhiktar ke paas pehle se hi dil ki bimari ya sugar jaise gambhir sthitiyan hoti hain.

Spread the love

Leave a comment